Roman script

khilate hai gul yahaan, khilake bikharane ko

milate hai dil yahaan, milake bichhadane ko

khilate hai gul yahaan, khilake bikharane ko

khilate hai gul yahaan 

kal rahe naa rahe, mausam ye pyaar kaa 

kal ruke na ruke, dolaa bahaar kaa

kal rahe naa rahe, mausam ye pyaar kaa 

kal ruke na ruke, dolaa bahaar kaa

chaar pal mile jo aaj, pyaar me guzaar de

khilate hai gul yahaan, khilake bikharane ko

milate hai dil yahaan, milake bichhadane ko

khilate hai

jhilo ke hotho par

jhilo ke hotho par, megho kaa raag hai

phulo ke sine me, thadi thadi aag hai

dil ke aaine me tu, ye samaa utaar de

khilate hai gul yahaan, khilake bikharane ko

milate hai dil yahaan, milake bichhadane ko

khilate hai gul yahaan 

pyasa hai dil sanam, pyaasi ye raat hai

hotho me dabi dabi, koi mithi baat hai

pyasa hai dil sanam, pyaasi ye raat hai

hotho me dabi dabi, koi mithi baat hai

in lamho pe aaj tu, har khushi nisaar de

khilate hai gul yahaan, khilake bikharane ko

milate hai dil yahaan, milake bichhadane ko

khilate hai gul yahaan

Explore this song