Roman script

khamosh zindgi ko aawaj de rahe ho

tute huye haatho mein kyu saaz de rahe ho

kaamosh zindagi ko aawaj de rahe ho

benur meri aankhe aur dur kaa safar hai

uthate hain paanv lekin gir jane ka bhi dar hai 

gir jane ka bhi dar hai 

par kaat ke kisi ke paravaj de rahe ho

kaamosh zindagi ko aawaj de rahe ho

aankho se bahta dariya hontho pe aah lekar

sahil pe ham khade hain sahil ki chah lekar 

sahil ki chah lekar 

barbad mohabbat ko naye andaz de rahe ho

khamosh zindagi ko aawaj de rahe ho

Explore this song