Roman script

khai thi kasam ik raat sanam 
tune bhi kisi ke hone ki, hone ki
ab roz wahi se aati hai
aavaaz kisi ke rone ki, rone ki
khai thi kasam
aati hai teri jab yaad mujhe
bechain bahare hoti hai
aati hai teri jab yaad mujhe
bechain bahare hoti hai
meri hi tarah is mausam me 
ghanghor ghataaen roti hai
kahati hai fizaa ro mil ke zaraa
ye raat hai mil ke rone ki, rone ki
khai thi kasam
maangi thi dua kuch milne ki magar
kuch dard mila kuch tanhai
maangi thi dua kuch milne ki magar
kuch dard mila kuch tanhai
tu paas hi rah kar paas nahi
roti hai milan ki shahnai
hasarat hi rahi is dil ke hasi
armano ke pure hone ki, hone ki
khai thi kasam ik raat sanam 
tune bhi kisi ke hone ki, hone ki
ab roz wahi se aati hai
aavaaz kisi ke rone ki, rone ki
khai thi kasam

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Shashi Kapoor, Sanjay Khan, Rajshree