Roman script
katte hai dukh me din, pahlu badal badal ke rahte hai dil ke dil me, armaa machal machal ke katte hai tadpayega kaha tak, ae dard-e-dil bata de rusvaa kahi na kar de, aansu nikal nikal ke katte hai dukh me din ye khwaab par jo chamki, ye khwaab par jo chamki jarre na inko samjho fenka gaya hai dil ka, fenka gaya hai dil ka shisha kuchal kuchal ke katte hai dukh me din ulfat ki thokaro se, ulfat ki thokaro se aakhir na bach saka dil jitne kadam uthaae, hamne sambhal sambhal ke katte hai dukh me din, pahlu badal badal ke katte hai dukh me din
Song details
- Singer: Lata Mangeshkar
- Film / album: Parchhaiyan (1952)
- Composer: Chitalkar Ramchandra
- Lyricist: Noor Lucknavi
- Actor: V Shantaram
- Actor: Jay Shree T
- Actor: Saluja
- Actor: Lalita Pawar
- Actor: Ulhas Wasti
- Actor: Sandhya
- Actor: Saroj Khan
- Actor: Nimabalkar
Song video
actor: Sandhya, V Shantaram, Jayshree