Roman script

kitni hi bar daya nidhi ne 

kitni hi bar daya nidhi ne 

sansar ko aake ubhar liya 

jab jab dharti par dhram ghata 

tab tab parbhu ne avtar liya 

karo hari darshan, karo hari darshan 

karo hari darshan, karo hari darshan 

ye kahani bhaynkar kaal ki hai 

parachin karodo saal ki hai 

shankhasur naam ka tha danav 

use darte the sur manav 

rakash tha bada vikat bal me

vedo ko chura ke ghusa jal me 

fir parbhu mne machhay roop dhara 

papi shankhasur ko mara  

papi shankhasur ko mara 

ye amrit manthan ki hai katha 

sur asuro ne sagar ko matha 

sur asuro ne sagar ko matha 

dubne laga parvat jal me 

khalbali machi bhumandal me 

tab hari ne kuram avtar liya 

mandhrachal peeth pe dhar liya 

hari ki lila hai ajab logo 

dekho ab drisaye gajab logo

o dhan van tarijan me samandar se

amrit le aaye vo andar se

amrit ke liye danav jhagade

par parbhu nikale sabse tagde 

parbhu bane sundar nari 

mohini naam ki sukumari 

jab matak matak mohini doli

daitayo ki band hui boli

asuro ka aasan hila diya 

devo ko amrit pila diya 

fir parbhu ka prithu avtar hua 

unse dharti ka sudhar hua 

sab niyam dharam ko theek kiya 

jan jan ka man nirbhik kiya 

jan jan ka man nirbhik kiya 

ab suno bhagat dhruv ki gatha 

bhagwan ko jhuka lo sab matha 

jab dhruv ne hari darshan paye 

tab uske lochan bhar aaye 

ek baal bhagat ne nirakaar 

naarayan ko saakaar kiya 

jab jab dharti par dhram ghata 

tab tab parbhu ne avtar liya 

karo hari darshan, karo hari darshan 

karo hari darshan, karo hari darshan 

jab garah ne gaj ko pakad liya 

uske pairo ko jakad liya 

tab chakr parani paidal dhaude

aa kar uske bandhan tode 

aur chakr se garah ko sanhara 

pal me gajraaj ko uddhara 

fir parkat hue nar narayan 

the maha tapsavi jag taaran

urvashi bhi dekh virakat hui

apsara bhi hari ki bhaqt hui 

tab kaam bhi rasta naap gaya 

aur karodh bhi man me kaap gaya 

aur karodh bhi man me kaap gaya 

bhaygriv tapasya karta tha

hone ko amar vo marta tha 

tab maha maya saakaar hui 

var dene ko taiyar hui 

danav ne vachan ye ucchare 

keval hari hi mujhe mare 

hai shish roop hari ne dhara 

aur papi rakshas ko mara 

aur papi rakshas ko mara

fir hans roop me hari parkate 

kalyan hetu shree hari parkate

bhagwan ne sab ko siksha di

pawan bhagati ki deeksha di

fir jag me yaagh bhagwan aaye 

prithvi par parivartan laye 

sab dev hawan se pushat huye

parani samshat santusat huye 

fir parbhu kapil avtaar bane 

shrisati ke tanarhar bane

apni mata ko gayan diya 

janata ko sankhaye pardan kiya 

janata ko sankhaye pardan kiya 

fir sankadik avtar hue 

vastav me balak char hue 

mat socho vo keval balak the 

bade dhram karam ke palak 

jai vijai ko dekar shrap 

baal bhgwaan ne jag ko taar diya 

jab jab dharti par dhram ghata 

tab tab parbhu ne avtar liya 

karo hari darshan, karo hari darshan 

karo hari darshan, karo hari darshan

Explore this song