Roman script

jag me karman ki gati nyari

jag me karman ki gati nyari

jag me karman ki gati nyari

murjha kar bhi khil jati hai aasha ki phulwari

murjha kar bhi khil jati hai aasha ki phulwari

karman ki gati nyari

jag me karman ki gati nyari

hasna rona paana khona sab is gati ki leela

sab is gati ki leela

rang birange sapno ka hai ye sansar rangila

bandhe hue hai karm dor me

bandhe hue hai karm dor me sare hi nar nari

karman ki gati nyari jag me, karman ki gati nyari

karam bhumi par kaato ke sang 

phulo ki sej suhani

phulo ki sej suhani

dukh sukh dono sath sath hai jag ki yahi kahani

mat nirash ho khil jayegi

mat nirash ho khil jayegi man ki kesar kyaari

karman ki gati nyari jag me, karman ki gati nyari

jaisi karni waisi bharni

yahi yaha ka lekha, yahi yaha ka lekha

nahi mitaye mit sakti jo khichi bhagy ki rekha

saras savera aaya dekho

saras savera aaya dekho rain gayi andhiyari

karman ki gati nyari jag me, karman ki gati nyari

Explore this song