Roman script

jai kanhaiya laal ki!

pranaam mere bhakton mere bhakton nahi

kanhaiya ke bhakton pranaam pranaam

paaon lagi maa ji bacchon ko yahan par

sound system se door rakhe

are you ready?

3 go!

ho dede darshan phir ek baar phir ek baar

dwaare aaya bhajan kumar bhajan kumar

ho dede darshan phir ek baar phir ek baar

dwaare aaya bhajan kumar bhajan kumar

kasht se uddhar karde aaj beda paar karde

zindagi se saral aur oonche vichar karde

follower tere saare milke tujhe pukaarein

inki khabar lene aa aa aa aa aa aa aa aa

aaja kanhaiya twitter pe aaja

aaja bhagat ki bigdi bana ja bana ja

kanhaiya twitter pe aaja aaja

bhagat ki bigdi bana ja bana ja

sawalon se bhara yeh mann hai mera

tu aake zara uttar bata ja radhe

kanhaiya kanhaiya kanhaiya zor se bolo

kanhaiya twitter pe aaja aaja

bhagat ki bigdi bana ja bana ja

kanhaiya twitter pe aaja aaja

bhagat ki bigdi bana ja bana ja

apne haath upar karke

khade ho jaaiye mere saath gaaiye

ho ghor kaliyug mein yeh jag tera

path se hi bhatka hai path se hi bhatka hai

tujhse hatkar dhayan sabka

jo phone pe atka hai phone pe atka hai

bahut hi bekaar cheez hai yeh phone

phenk dijiye

ghor kaliyug mein yeh jag tera

path se hi bhatka hai path se hi bhatka hai

tujhse hatkar dhayan sabka

jo phone pe atka hai phone pe atka hai

phir zara ek baar lele 11’va avatar lele

digital roop mein hi chahe iss baar lele

mann ka hua fajita phir se padha de geeta

humein updesh dene aa aa aa aa aa

aaja kanhaiya kanhaiya

kanhaiya twitter pe aaja aaja

bhagat ki bigdi banaja bana ja

sawalon se bhara yeh mann hai mera

tu aake zara uttar bata ja radhe

kanhaiya kanhaiya

kanhaiya zor se bolo

kanhaiya twitter pe aaja aaja

bhagat ki bigdi bana ja bana ja

ho orchestra baaje ho ras saaje

jhan jhan goonje bijli ki guitar

aaja do nainan ki pyas mita ja

aa bhi ja mere dwarka ke raja

feel ke saath ghanshyam mere aaja

ghar mein andhere aaja ho raat aadhi chahe

tadke savere aaja

aangan sajane aaja makhan churane aaja

janmon janam ki laagi mann ki bujhane aaja

rath pe anokhe aaja radhe ko leke aaja

bandhu sudama ko bhi pichhe bitha ke aaja

aaja aaja aaja aaja aaja aaja aaja aaja aa

kanhaiya twitter pe aaja aaja

bhagat ki bigdi bana ja bana ja

kanhaiya twitter pe aaja aaja

bhagat ki bigdi bana ja

mujhe aur mere iss pyare se orchestra ko

yahan par aamantrit karne ke liye

seva mandal ka bahut abhaari hoon

ummeed karta hoon aapko yeh bhajan

achhi lagi hogi

mera naam hai bhajan kumar

Explore this song