Roman script

kaise rahun chup ke maine pi hi kya hai hosh abhi tak hai baaki

aur zara si de de saaki, aur zara si aur

kaise rahun chup ke maine pi hi kya hai hosh abhi tak hai baaki

aur zara si de de saaki, aur zara si aur

kaise rahun chup ke maine pi hi kya hai

muddaton ki pyaas aaj ek jaam ban gayi

muddaton ki pyaas aaj ek jaam ban gayi

ye khushi ki sham, sham-e-inteqam ban gayi

jo baat hum mein tum me thi wo baat aam ban gayi

aur zara si de de saaki aur zara si

kaise rahun chup

kaise rahun chup ke maine pi hi kya hai hosh abhi tak hai baaki

aur zara si de de saaki, aur zara si aur

kaise rahun chup ke maine pi hi kya hai

pata hai tumko raaz kya hai mere is suroor ka

pata hai tumko raaz kya hai mere is suroor ka

ki iss suroor mein zara sa rang hai guroor ka

jo maine pi to kyun nasha utar gaya huzoor ka

aur zara si de de saaki, aur zara si

kaise rahun chup

kaise rahun chup ki maine pi hi kya hai hosh abhi tak hai baaki

aur zara si de de saaki aur zara si aur

kaise rahun chup ke maine pi hi kya hai hosh abhi tak hai baaki

aur zara si de de saaki, aur zara si aur

aur zara si de de saaki, aur zara si

aur zara si de de saaki, aur zara si

Explore this song