Roman script

kahi karar na ho aur kahi khushi na mile

hamare baad kisi ko ye jindagi na mile 

kahi karar na ho

siyah-nasib koi unse badhke kya hoga

siyah-nasib koi unse badhke kya hoga

jo apna ghar bhi jala de to roshni na mile

hamare baad kisi ko ye jindagi na mile 

kahi karar na ho

yahi suluk hai gar aadmi se dunia ka

yahi suluk hai gar aadmi se dunia ka

to kuch ajab nahi dunia me aadmi na mile

hamare bad kisi ko ye jindagi na mile 

kahi karar na ho

ye bebasi bhi kisi bad dua se kam to nahi

ye bebasi bhi kisi bad dua se kam to nahi

ke khul ke ji na sake aur maut bhi na mile

hamare baad kisi ko ye jindagi na mile 

kahi karar na ho

Explore this song