Roman script

kahani me mohabbat hai mohabbat me kahani hai

kahani jo likhi humne wahi sabko sunani hai

sunani hai kahani jo badi hi vo suhaani hai

mohabbat hai, shararat hai nazakat hai, jawani hai

jawani me jawano ka humesha dil dhadakta hai

humesha dil dhadakta hai koi shola bhadakta hai

koi shola bhadakta hai nigaahe chaar hoti hai

nigaahe chaar hoti hai jigar ke paar hoti hai

jigar ke paar hoti hai to pahle chain jata hai

to pahle chain jata hai koi sapno me aata hai

vo sapno me jo aata hai to nindo ki churata hai

vo jo ninde churata hai to ye dil aah bharta hai

kahani me mohabbat hai mohabbat me kahani hai

kahani jo likhi humne wahi sabko sunani hai

Explore this song