Roman script

kabir khada bazar mein

sab ki mange khir

na to kisi se dosti

na to kisi se bair

arey ho ho ho ho 

ek jagah phul khile aur

khilate hi murjhaye

ek jagah ek phul khile aur

khilate hi murjhaye

is do rangi duniya ka ye raaj

samjh na aaye

kabira roye ya muskaaye

kabira roye ya muskaaye

arey ho ho ho

ek dhan vale bazigar ne

tajmahal banvaya

jisko nirdhan karigar ne

apna khoon pilaya

mehnat ke badale me usne

hath apne katvaye

kabira roye ya muskaaye

kabira roye ya muskaaye

arey ho ho ho

chir ke is dharti ka sina

bij kisi ne boya

na din ko aaram kiya na

raat ko palbhar soya

khet pakke to uske dane

aur koi kha jaye

kabira roye ya muskaaye

kabira roye ya muskaaye

arey ho ho ho

badi purani ho gayi duniya

aao ise jala de

jal jaye to rakh se is ki

duniya nayi basa de

sab ka sathi is duniya ka

har banda kahlaye

kabira dekh dekh muskaaye

kabira dekh dekh muskaaye

kabira dekh dekh muskaaye

Explore this song