Roman script

kabhi to aasmaa se chaand utre, jaam ho jaaye

tumhare naam ki ek khoobsurat, shaam ho jaaye

wo mera naam sun kar, kuch zara sharma se jaate hai

bahut mumkin hai, kal iska mohabbat naam ho jaaye

zara sa muskura kar haal puchho, dil bahal jaaye

hamara kaam ho jaaye, tumhara naam ho jaaye

hamara kaam ho jaaye, tumhara naam ho jaaye

kabhi to aasmaa se chaand utre, jaam ho jaaye

ujale apni yaado ke, hamare saath rehne do

na jaane kis gali mein zindagi ki, shaam ho jaaye

na jaane kis gali mein zindagi ki, shaam ho jaaye

kabhi to aasmaa se chaand utre, jaam ho jaaye

tumhare naam ki ek khoobsurat, shaam ho jaaye

tumhare naam ki ek khoobsurat, shaam ho jaaye

shaam ho jaaye, shaam ho jaaye

Explore this song