Roman script

kabhi to mohabbat, kabhi to ladaai

karun kyaa tumhaara duhaai duhaai

kabhi to mohabbat, kabhi to ladaai

karun kyaa tumhaara duhaai duhaai

kabhi to karela, kabhi rasmalaai

karun kyaa tumhaara duhaai duhaai

teri chahat ne luta, tere waadon ne luta

banda main seedha sadha

tere jalwon ne luta

tera andaaz tauba

teri rangat hai tauba

tere nakhare ye tauba

tera gussa ye tauba

kabhi dard do tum, kabhi do dawaai

karun kyaa tumhaara duhaai duhaai

kabhi to mohabbat, kabhi to ladaai

karun kyaa tumhaara duhaai duhaai

ruthane waale maan bhi jaa

pyaar ka mausam yun na ganwa

saari duniya ek taraf, ek taraf tu jaane wafa

tere gaalo ki kasam, tere baalo ki kasam

main deewana hu tera

saari kasmo ki kasam

kabhi dil jalaana, kabhi dil rubaai

karun kyaa tumhaara duhaai duhaai

kabhi to mohabbat, kabhi to ladaai

karun kyaa tumhaara duhaai duhaai

ghar mein waqt pe aana hai

ye bhool gaye kyun bolo

ghar mein biwi raah take ye

bhool gaye kyun bolo

accha baba maaf karo ab

hans ke milo humjholi

pyaar mein pyaari baat karo

gusse ko maaro goli, accha

to phir bolo, are kyaa bolu

der se ghar nahin aaoge

na baba na baba

ab na mujhe sataoge

are na baba na baba

are mujhpe hukum chalaoge

na baba na baba

baat na koi banaoge

na baba na baba

cinema tum le jaaoge

aji na baba na baba

are kyaa kaha

are ha ha baba ha baba

ha baba ha baba

ha baba ha baba

Explore this song