Roman script

kabhi khili dil ki kali 

gam ki kabhi hawa chali 

kabhi fiza kabhi hai bahar

yahi to hai duniya, yahi hai sansar

koi nahi chhota yaha

koi nahi bada yaha

kismat ka kya eaitbar

yahi to hai duniya, yahi hai sansar

koi nahi chhota yaha

koi nahi bada yaha

lapki thi bijali si dil me 

unse jab jab nazare mili 

kitni hi baate chaha kahna 

lekin jubaan naa khuli 

kitni bhi baate chaha kahan 

lekin jubaan naa khuli 

dil me chhupa raha dil ka pyaar 

yahi to hai duniya, yahi hai sansar

koi nahi chhota yaha

koi nahi bada yaha

base hai dil me arma itne

jinka hisab nahi 

pure honge inme kitne 

koi jawab nahi

pure honge inme kitne 

koi jawab nahi

ek hai dil sapne hajar

yahi to hai duniya, yahi hai sansar

koi nahi chhota yaha

koi nahi bada yaha

jivan ki lambi lambi rahe

le jayengi kaha 

tal na sakegi zudai

phir bhi aashaye hai jawa

milan ki aarzu barkarar

yahi to hai duniya, yahi hai sansar

koi nahi chhota yaha

koi nahi bada yaha

la la la la la la la la

Explore this song