Roman script

kabhi kabhi yun hi humne 

apne ji ko bahlaya hai

kabhi kabhi yun hi humne 

apne ji ko bahlaya hai

jin baato ko khud nahi samjhe 

auro ko samjhaaya hai

kabhi kabhi yun hi humne 

apne ji ko bahlaya hai

humse puchho izzat waalo 

ki izzat ka haal kabhi

humse puchho izzat waalo 

ki izzat ka haal kabhi

humne bhi is shahar me rahkar 

thoda naam kamaya hai

kabhi kabhi yun hi humne 

apne ji ko bahlaya hai

usse bichhde barso beete

lekin aaj na jaane kyo

usse bichhde baraso beete

lekin aaj na jaane kyo

aangan me hanste bacho ko 

be kaaran dhamkaya hai

kabhi kabhi yun hi humne 

apne ji ko bahlaya hai

koi mila to haath milaya

kahi gaye to baate ki

koi mila to haath milaya

kahi gaye to baate ki

ghar se baahar jab bhi nikle

din bhar bojh uthaaya hai

kabhi kabhi yun hi humne 

apne ji ko bahlaya hai

in baato ko khud nahi samjhe 

auro ko samjhaaya hai

kabhi kabhi yun hi humne 

apne ji ko bahlaya hai

Explore this song