Roman script

kabhi kabhi yuhi humne apne ji ko behlaya hai

jin baato ko khud nahi samjhe, auro ko samjhaya hai

humse puchho izzat walo ki izzat ka haal kabhi

humse puchho izzat walo

humne bhi is shehar me rahkar 

thoda naam kamaya hai

kabhi kabhi yuhi humne apne ji ko behlaya hai

usse bichhde barso beete lekin aaj na jane kyu

aangan me hanste baccho ko bekaran dhamkaya hai

kabhi kabhi yuhi humne apne ji ko behlaya hai

koi mila to hath milaya, kahin gaye to baate ki

ghar se bahar jab bhi nikle, din bhar bojh uthaya hai

kabhi kabhi yuhi humne apne ji ko behlaya hai

jin baato ko khud nahi samjhe, auro ko samjhaya hai

kabhi kabhi yuhi humne apne ji ko behlaya hai

Explore this song