Roman script

kaasid  ake aate aate khat ek aur likh rakhu

main janata hu jo wo likhenge jawaab me

kab se hu kya bataau ajahaan-e-kharaab me

shab haaye hijra ko bhi rakhun gar hisaab me

mujh tak kab unki bajma me aata tha daur-e-jaam

saaki ne kuchh mila na diya ho sharab me

ta-fir na intajaara me nind aaye umr bhar

aane ka ahad kar gaye aaye jo khwaab me

gaalib chhuti asharaab par ab bhi kabhi kabhi

pita hu roj-e-abr-o-shab-e-maahataab me

Explore this song