Roman script

kash khwaabon mein hi 

kash khwaabon mein hi aa jao 

bahut tanha hu bahut tanha hu 

kash khwaabon mein hi aa jao 

bahut tanha hu bahut tanha hu 

kash khwaabon mein hi aa jao 

ye mere zahan se yaado ke diye gul kar do 

mere ahsaas ki duniya ko mita do humdam 

raat taare nahi angare liye aate hai

in baraste huye sholo ko bujha do humdum 

dil ki dhadkan ko sula jao 

bahut tanha hu bahut tanha hu 

kash khwaabon mein hi aa jao 

andheri raat mein jab chand khilne lagta hai

tumhare pyar ke deepak jala ke rota hu 

tumhare aane ki jab aas jane lagti hai

mein un chiragon ko khud hi bujha ke rota hu 

jindgi aisi mita ja 

bahut tanha hu bahut tanha hu 

kash khwaabon mein hi aa jao 

sochte sochte jab soch bhi mar jati hai

waqt ka kadamon ki aahat suna karta hu 

ashak thamte hai to aaho ka dhuaa uthta hai

raat bhar yun hi tadapta hu chala karta hu 

bahare gham kuch to ghata jaao 

bahut tanha hu bahut tanha hu 

kash khwaabon mein hi aa jao

Explore this song