Roman script

kam krod mad lobh moh kitna hi jor lagaye

kintu dharm ki rah pe chalne wale bik na pawe

om sarsvaty om namah

jo dhyan ko nikharti buddiko sawarti

yahi hai devo bharti namo mahasarsvti

bharmani lakshmi parvati utare jinki aarti

yahi hai devi parvati namo mahasarsvti 

om anpurnaye namo namah

pavitra suhasni daridrta vinashni

jagat ko ye palati hai sabhi ko ye sambhlti 

inke dwar aaye jo bhukha rah na paye wo

mahesh paran vandhana ruke ye anpurna

om mahadurgaye namo namah

apar shakti dharni asur vinashkarni

asur vinashkarni tritap kaap aarni

kamal suhag dayni ye jo kuch parkashni

andhkar nashni ye paap ki vinashni

hai bhagwa aadhi bhagwati hai durga aadhi bhagwati

bolo devi visha aakshi ki jai

hey jai jai maiya kaam aaksha

aaj ki nahi hai ye to baat hai purani

badi pavan hai badi pavan hai ye kahani 

aaj ki nahi hai ye to baat hai purani

badi pavan hai badi pavan hai ye kahani 

bhasm ho gayi yagy kund mein

ek din daksh kumari

unka sav kandhe dhar

bhatke shiv shankar tripurari

harne ko har ki maya 

hari ne jab chakar chalaya

kat kat girne lagi sati ki 

kaya suhani badi pavan hai 

badi pavan hai ye kahani 

jaha jaha dekhe raaja dat ne 

sundar ang sati ka

waha waha pvitar bana gaya tirth devi ka

tirth ek unme bhai hai ye kamksha maai

aaye jo yaha pe uspe magan ho bhawani

badi paavan hai badi paavan hai ye kahani

maa maa jai jai jai maa

jai jai maa mahakali jai jai

maa kalkate wali

jai jai maa mahakali jai jai

maa kalkate wali

mundo ki mala jo pahne 

yahi hai inke gahne

khadad trishul hath mein thame

inki chhavi hai nirali

jai jai maa mahakali jai jai

maa kalkte wali bolo kali mata ki

Explore this song