Roman script

ye kaisi hai sarsabj makhmal ki vadi

jaha saans le zindagi me aazadi

ye hanste huye kaafile zindagi ke

subah sham karte hai khushiyo se shadi

khudai daulat ki rangin umaish

kahin isse behtar nahi hai

jannat kaha hai jise shayaro ne

yahin hai yahin hai yahin hai

juda na karo chalti saanse jism se

juda na karo chalti saanse jism se

hai har saans chalti amanat khuda ki

khuda saans leta hai har zindagi me

har ek zindagi hai zamanat khuda ki

juda na karo chalti saanse jism se

bane bejuba goliyo ke nishane

ye kyun bekaso pe julm ho raha hai

khuda hi muhafiz raha zindagi ka

wo insa ke hatho katal ho raha hai

koi phir masiha bane sar uthaye

kare sar uthake hifazat khuda ki

khuda saans leta hai har zindagi me

har ek zindagi hai zamanat khuda ki

juda na karo chalti saanse jism se

Explore this song