Roman script

chhoti si jindagi gehari si jeb hai

baaki to jaan-e-man baaton ke seb hai

chhoti si jindagi gehari si jeb hai

baaki to jaan-e-man baaton ke seb hai

baatein hai sab saali baatein hain

kehte hai phir bhool jaatein hain

hey johny zindagi juwaan hai khel yaar

hey johny gadaar aaj nakad phir kal udhaar

hey johny matlab hi hai asali yaar, hey johny

aayegi nahi phir ye jindagi

mar marke kyun jina yaar, jamke khaana pina yaar

mar marke kyun jina yaar, bharke pyaala pina yaar

maangega to mera hai

chhinega to tera hai ki nahi

baatein hai sab saali baatein hain

kehte hai phir bhool jaatein hain

hey johny sab kuchh hai yahaan sale mein

hey johny gadaar sab chalta hai khel mein

hey johny chadh ja tu bhi rail mein, hey johny

bharake chusle, jeb me thus le

baaton mein na aana tu, apni karta jaana tu

baaton mein na aana tu, apna gaana gaana tu

jaadu hai tere mein

jaadu hai tere mein ki nahi

bhala kar to tera bhala ho

aisa kaun jo saala chala ho

hey johny thoda sa tu bhi khel yaar

hey gadaar jo aaye tu pel yaar 

hey johny aaj nakad kal phir udhaar, hey johny

Explore this song