Roman script

jo vaada kiya woh nibhaana padega

roke zamaana chaahe roke khudaai

tumko aana padega

tarasti nigaahon ne aawaz di hai

mohabbat ki aahon ne awaaz di hai

jaane hayaa jaane ada chhodo tarsaana

tumko aana padega

ye maana hamein jaan se jaana padega

par ye samajh lo tumne jab bhi pukaara

humko aana padega...

hum apni wafaa pe na ilzaam lenge

tumhe dil diya hai tumhe jaan bhi denge

jab ishq ka sauda kiya, phir kya ghabraana

humko aana padega

chamakte hain jab tak yeh chaand aur taare

na tootenge ab keh do paimaan hamaare

ek doosra jab de sadaa hoke dewaana

humko aana padega

Explore this song