Roman script

jo tera pyar na milta

to kyon jiye hote

sada hi maut ki hum 

aarzoo kiye hote

mila tha ek hi dil 

wo bhi de diya tujhko

hazaar dil bihi jo hote 

tere liye hote

meri majaburiyo pe jahan chup raha 

ye zamin chup rahi, asman chup raha

meri majaburiyo pe jahan chup raha 

ye zamin chup rahi, asman chup raha

waqt par kaam ayi na apni zuban

kaun kahta mere dard ki dastan

waqt par kaam ayi na apni zuban

kaun kahta mere dard ki dastan

humsafar chup rahe, karavan chup raha

ye zamin chup rahi, asman chup raha

meri majaburiyo pe jahan chup raha 

ye zamin chup rahi, asman chup raha

jab muhabbat ki duniya mitai gai

asman tak bhi meri duhai gai

jab muhabbat ki duniya mitai gai

asman tak bhi meri duhai gai

mera malik, mera razdan chup raha

ye zamin chup rahi, asman chup raha

meri majaburiyo pe jahan chup raha 

ye zamin chup rahi, asman chup raha

Explore this song