Roman script

jo mummy ki aankho ke tare the ham tum 

to daidy ke dil ke sahare the ham tum 

ye bada luft tha jab 

o kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab 

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab 

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab 

main hero tha kitano ka shadi se pahle 

hangama fitano ka shadi se pahle 

badi byutiful thi jawani ki raate

haseeno se hoti thi rangeen bate 

mujhe yaad hain aaj tak wo jamana 

hseeno ke jamght me picknick manana 

magar ban gayi jabse tu meri dulhan 

meri jindagi ban gayi ek uljhan 

jo shadi hui to baje mere barah 

meri har khushi ho gayi nau do gyarah 

teri budhi maa ne kabhi mujhko danta 

kabhi ban gaya tera baap dil me kanta 

kabhi jaan ko aa gaye tere bhaai 

kabhi tere bahano ne ki hatha paayi 

aur us par sitam har baras ek bachcha 

chalo ab mujhi ko chaba jaao kachcha 

hua har maja kirkira aashiqi ka 

samajh lo janaja utha jindagi ka 

paresha ho tum aur main  hakka bakka 

sagayi ne hamko kahi ka na rakkha 

ye chamkte damkte sitare the ham tum 

aji bada luft tha jab 

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab 

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab 

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab 

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab 

na jab tak huyi thi meri tumse shadi 

main lakho ke spno ki thi shahjadi

mere age pichhe tahlte the kitane 

jagati thi jaadu uthati thi fitane 

na bahno se darna na bhayiya se darna 

kayi baar dinbhar me banan sanwarna 

magar tumne kuchh aisa chakkar chalaya 

mohabbat ke fande me mujhko fasaya 

kabhi naaj fathar maother ka uthaya 

kabhi bhai bahno ko mashka lagaya 

mana tumse dhokha bada kha gayi main 

tumhari dulhan ban ke pachhta gyai main 

jo kahti hun main la do hontho ki laali 

to kahte ho fauran hain jeb kali 

jo kahti hu main la do pajeb kangan 

to kahte ho maajo abhi aur bartan 

padi kis ke palle khudaya 

koi dil ka arman nikalne na paya 

fir khush jab na ulfat ke mare the ham tum 

bada luft tha jab 

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab 

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab   

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab   

ye ghar ki masayal ye bachchi ki jhanjhat 

aur uspar wo din raat ki tumse khat pat 

kabhi thakthakar jo daftar se aana 

tumhare hi ardar pe bachce khilana 

tumhara ye kahana nahi ghar me aata

meri iltejaa mat pakao paratha 

tumhara ye kahana ki munni ke abba 

hua khatam ghar me jo tha ghi ka dibba 

ho saita ki tum beti bhuto ki khala 

mere ghar ka tumse nikala diwala 

meri tumne faisan se lutiya dubo di 

bade hokar bachcho ne bhi kabr khodi 

jo aaye bahu aur damad tauba 

gajab dha gayi unki aulad tauba 

mere pichhe padte hain wo haath dhokar 

banaya hain fonfo nawaso ne jokar 

na tum naani banti na main banta nana 

na ghar banta mere liye jel khana 

jo shadi na hoti to kuchh bhi na hota 

na tum mujhko roti na main tumko rota 

hui bhul mujhse jo shadi rachai 

ki dkhud jindagi apani kadvi banai 

to mohabbat ke mithe chhuhare the ham tum 

ye ye bada luft tha jab   

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab  

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab  

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab  

tumhe ghar ka jhanjhat jo lagaya hain bhari 

to ban jaate sauhar ke badale madari 

jo sauhar bane ho to nakhkre bhi jhelo 

kaha kisne tha pyaar ka khel khelo 

jo dulha bane ho to fir funko chulha 

jhulao nawasho ka poto ka jhula 

milaye the kanjus sauhar ke tauba 

muh futa hain mera mukaddar ke tauba 

tumhare dukho ne ye halat bana di 

are kaash main tumse karti na shadi 

kabhi yu ham dono barbad hote 

main ajad hoti to najad hote 

kaha is kadar beshare the ham tum 

aje bada luft tha jab

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab  

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab  

kuaare the ham tum suno ji 

bada luft tha jab  

ye jivan ye shadi ka ianjan

ye do pal ka sukh jindagi bhar ki uljhan

muhammad gali ham to rassi me kaskar 

huy khaye ham to ghar ke lafado me fanskar

Explore this song