Roman script

jaha kahi deepak jalta hain 

vahan patanga bhi aata hain 

preet ki reet yahi hain murakh 

tu kaahe ghabrata hain 

parvaane ki naadaani par 

duniya hansti hain to hanse 

pyar ki mithi aag me premi 

hanste hanste jal jata hain 

jo ek baar kah do, ki tum ho hamare 

to badle ye duniya badle najaare

jo ek baar kah do, ki tum ho hamare 

to badle ye duniya badle najaare 

jo ek baar kah do

aakash me 

aakash me chand tare hanse 

hamare hi dil me andhera base 

nigahon ki glaiyon me chori se aake 

jo tum muskraao to khil jaye tare 

jo ek baar kah do

suhani hain ye 

suhani hain ye zindagi pyar se 

ae murakh jo pachhtaye dil haar ke 

ye baazi hain duniya me sasbe niraali 

jo haare to jite, jite to haare 

jo ek baar kah do

Explore this song