Roman script

jiyo jiyo mere lal teri tedhi tedhi chal

tune aaj khel khel me kamal kar diya

ho maar maar dushmano ka bura hal kar diya

jiyo jiyo mere lal teri tedhi tedhi chal

tune aaj khel khel me kamal kar diya

ho maar maar dushmano ka bura hal kar diya

jiyo jiyo mere lal

teri aan ban shan pe jahan kurban

tu hai veer randhir baka hind ka jawan

baka hind ka jawan tik tik tik tik jo lagayi tune kik

bairiyo ki khopdi ko footbal kar diya

ho maar maar maar maar bura hal kar diya

jiyo jiyo mere lal

dosto sab ki madad se kam ho insan ka

dosto sab ki madad se kam ho insan ka

jang me ladte sipahi or nam ho kaptan ka

maine kam kya kiya sabne sath jo diya

unki pant ko kat ke rumal kar diya

jiyo jiyo mere lal teri tedhi tedhi chal

tune aaj khel khel me kamal kar diya

ho maar maar dushmano ka bura hal kar diya

jiyo jiyo mere lal

ho kaise jiye lal tumhara roye bukha pet bechara

dekho baj gaye pone barah dekho baj gaye pone barah

kaho ji bhojan kaha hamara kaho ji bhojan kaha hamara

bhojan kaha hamara bhojan kaha hamara

lao halwa puri dal ho gaya hai bura hal

ab to chuho ne pet me dhamaal kar diya

nach nach nach bura hal kar diya jiyo jiyo mere lal

are teri jhatpat bukh mitata hu

are nahi pal bhar der lagata hu

are manegar ko bulwata hu

kaha chupe ho ho bhojan ke bhagwan hamare aao

kaha chupe ho ho bhojan ke bhagwan hamare aao

dekho manager bhag raha hai

pakdo pakdo jane na paye dekho manager bhag raha hai

jan de denge jane na denge jan de denge jane na denge

jan de denge pran de denge fir bhi tumhe jane na denge

hamne dhandha kya kiya kisi ne chanda na diya

hamne dhandha kya kiya kisi ne chanda na diya

jhuth bol bol club ko kangal kar diya

bin chande ye bande ka hal kar diya

Explore this song