Roman script

jiya bechain mera din rain

kahun kya laage, kahun kya laage kahan more nain

kahun kya laage kahan more nain

jiya bechain

kisi ke pyaar ko dil me chhupaaye baithe hai

najar ke teer kaleje pe khaaye baithe hai

dil ka haal ho, dil ka haal kaha naa jaaye

kahe bin ab to saha na jaaye

jiya bechain

khushi ka din hai magar, dil ko chain aaj nahi

ho mila hai dard vo jiska koi ilaaj nahi

naina bhed ho, naina bhed chhupa naa paaye

kabhi ghabraaye kabhi sharmaaye

jiya bechain

chaman humaari umeedo ka jal na jaaye kahin

hawa badalte hi kismat badal naa jaaye kahi

karke pyaar ho, karke pyaar na main pachhtaaun

kahin barbaad na main ho jaaun

jiya bechain mera din rain

kahun kya laage, kahun kya laage kahan more nain

kahun kya laage kahan more nain

jiya bechain

Explore this song