Roman script

jab bhi dohrayi gayi tere karam ki dasta

jhuk gaye sajde me tera naam lekar do jaha

jisko us malik ki rahmat ka sahara mil gaya

usko manzil mil gayi usko kinara mil gaya

jisko us malik ki rahmat ka

marde momin ne kaha allah hu akbar jis ghadi

ban gayi faulad ki janjir phulo ki ladi

toor par dekha tha musa ne jise wo kaun tha

wo kaun tha ruk gaya tufan

ruk gaya tufan mauje ban gayi khud na khuda 

khud na khuda khud na khuda 

nuhu ki kashti ko jab uska ishara mil gaya 

usko manzil mil gayi usko kinara mil gaya

jisko us malik ki rahmat ka

aye khuda ke nek bande

bukh me kurani na bhul

hazarat ibrahim ke bete ki kurbani na bhul

rahe hak me momino ka naam zinda ho gaya

kufar jab had se badha kufar jab had se badha

islam zinda ho gaya islam zinda ho gaya

islam zinda ho gaya ho gaya zinda 

jise uska ishara mil gaya

usko manzil mil gayi usko kinara mil gaya

jisko us malik ki rahmat ka

sar nago hai maszide teri mukaddar ki rah me

jagmagata hai tera hi naam har dargah me

tu hai rabbul aalmi makke madine ki kasam

tere dar par ruk gaye hai

tere dar par ruk gaye hai

har namazi ke kadam har namazi ko tere

dar ka sahara mil gaya usko manzil mil gayi

usko kinara mil gaya

jisko us malik ki rahmat ka

Explore this song