Roman script

shama parwane ke jalne pe hasa karti hai

aap parwana bane shama ye wo dharti hai

jis mitti me khel rahe hai bache rajashthani

us mitti ki tumhe sunata hu mai amar kahani

tute fute mandir hai ye unki yadgaro ke

dur dur bajte the danke jinki talwaro ke

bapa rawal rana sanda parithvi raj chauhan

jaan pe khel gaye sab saha na bhumi ka apman

jai bolo is bhumi ki jis jayi panna bai

apna beta de kar jisne umar ki ajan bachai

ke ek sunaye ya so so kahani

shama bankar kaise jal jal jate the parwane

yahi hui hai barso pahle ek padmini rani

poonam ka chanda bharta tha jiske samne pani

poonam ka chanda bharta tha jiske samne pani

holi ke din holi kheli rahi thi wo uske man ki

nach rahi thi banke radhika bich me ek mastani

Explore this song