Roman script

o mati ke putale itna na kar tu guman 

pal bhar ka tu mehman, mati ke putale 

tune prabhu ko dhan me dhundha

kabhi na apne man me dhundha

bhul gaya maya ke bande tujh me base bhagvan

o mati ke putale itna na kar tu guman 

pal bhar ka tu mehman, mati ke putale 

maalik se kuch chupa nahi hai kaun hai jag me kaisa

maalik to hai pyar ka bhukha log chadhaye paisa

dhan ke lobhi ye na jane kya mange bhagvan

o mati ke putale itna na kar tu guman 

pal bhar ka tu mehman, mati ke putale 

jag hai vo hi banane vala tu hai kaun mitane vala

chhod  de uspe sari bate o murakh insaan

o mati ke putale itna na kar tu guman 

pal bhar ka tu mehman, mati ke putale

Explore this song