Roman script

wo mera rounak e mehfil kahan hai

meri bijli, mera hasil kahan hai

mukaam uska hai, dil ki khalbato me

khuda jane mukame dil kahan hai

jis din se juda wo humse huye

is dil ne dhadkna chhod diya

is dil ne dhadkna chhod diya

hai chand ka munh utra utra

taaron ne chamakna chhod diya

taaron ne chamakna chhod diya

wo paas humare rehte the

berut bhi bahar aa jati thi

wo paas humare rehte the

berut bhi bahar aa jati thi

ab lakh bahare aaye to kya

ab lakh bahare aaye to kya

phulo ne mehakna chhod diya

phulo ne mehakna chhod diya

hai chand ka munh utra utra

taaro ne chamakna chhod diya

is dil ne dhadkna chhod diya

hamraah koi, sathi bhi nahi

ab yaad koi, baaki bhi nahi

hamraah koi, sathi bhi nahi

ab yaad koi, baaki bhi nahi

ab phul khile, zakhmo ke kya 

ab phul khile, zakhmo ke kya 

aankho ne barasna chhod diya

aankho ne barasna chhod diya

hai chand ka munh utra utra

taaro ne chamakna chhod diya

is dil ne dhadkna chhod diya

humne ye duaa jab thi maangi

taqdeer badal de, ae maalik

humne ye duaa jab thi maangi

taqdeer badal de, ae maalik

aawaz aayi ke ab humne

aawaz aayi ke ab humne

taqdeer badalna chhod diya

taqdeer badalna chhod diya

hai chand ka munh utra utra

taaro ne chamakna chhod diya

taaro ne chamakna chhod diya

jis din se juda wo humse huye

is dil ne dhadkna chhod diya

is dil ne dhadkna chhod diya

jis din se juda wo humse huye

is dil ne dhadkna chhod diya

is dil ne dhadkna chhod diya

Explore this song