Roman script

jinki kismat me kante vo khwab na dekhe kaliyo ke 

kaliya mahalo ki ronak aur kante rahi galiyo ke

raju ka tha ek khwab raju raja raja sahab

raj khana taz tha phir bhi mai tha raja sahab

raju ka tha ek khwab raju raja raja sahab

mai bada nadan tha mai bada tha bekhabar

maine dekhi surte maine na dekhi magar

maine na dekhi magar bewafai ki nakab

raju ka tha ek khwab raju raja raja sahab

chhu na pau mai kabhi jiske kadmo ki bhi dhul

maine kyu chaha use mai fija ka ek phul

mai fija ka ek phul vo baharo ka gulab

raju ka tha ek khwab raju raja raja sahab

ho mubarak aapke ghar barate aa gayi

mere lab pe bhul se gam ki bate aa gayi

gam ki bate aa gayi maf kar dena janab

raju ka tha ek khwab raju raja raja sahab

raj khana taz tha phir bhi mai tha raja sahab

raju ka tha ek khwab raju raja raja sahab

Explore this song