Roman script

hairaan hu darta hu, zindagi kya ho gayi

zakhmi zamin, aaj phir kahin

barud ki barish huyi

ye angaare, sehmi diwaren

phaila dar ka dhuan

ho ishwar jaane,maula jaane

kaisa jina yahan

mujhe jine do ho, mujhe jine do ho

bas karo o o o

insaan hu kya chahu, ik pal ko ji lun zara

ruk ruk ke chalta hu, jag jag ke sota hu

bebas sa be-sahaara ho ho 

dushman saare, jhoothe hain waade

imaan nochen mera

ho ishwar jaane,maula jaane

kaisa jina jahan

mujhe jine do ho, mujhe jine do ho

mujhe jine do ho, bas karo o o o

na hasrat koi, na aisi had koi

jiski khatir main lun jaan

na maksad koi, na mazhab koi

jispe ho jaaun main qurbaan

kya sach kya nahi

kya galat kya sahi, jaanu na ho o o

na main masiha, na main farishta

main hu aakhir ek insaan

dushman saare, jhoothe hain waade

imaan noche mera

ho ishwar jaane, maula jaane

kaisa jina yahan

mujhe jine do ho, mujhe jine do ho

mujhe jine do ho, bas karo o o o

mujhe jine do jine do

mujhe jine do jine do

mujhe jine do jine do

bas karo bas karo jine do

mujhe jine do jine do

bas karo jine do

Explore this song