Roman script

jindagi waqt ka aaina hai

jisme apna hi chehra anjana sa lagta hai

jisko samjho apna wo begana sa lagta hai

begaana sa lagta hai jindagi waqt ka aaina hai

jhutha hai duniya ka mela jhuti duniyadari

phir kyun deti palko ko khabon ki jimmedari

dur talak faila koyi virana sa lagta hai

jisko samjho apna wo begana sa lagta hai

begana sa lagta hai jindagi waqt ka aaina hai

thehri thehri kadmon se manjil ki kya ummede

behtar hai chup rahe ke apne hontho ko hi si de

jisko dekho aaj wahi deewana sa lagta hai

jisko samjho apna wo begaana sa lagta hai 

begana sa lagata hai jindagi waqt ka aaina hai

kise pata kab kisi mod pe rahe na apna mann

jise na jana usi ki tarah ho jaye aakrshan

jara gaur se dekho to afsana sa lagta hai

jisko samjho apna wo begana sa lagta hai 

jindagi waqt ka aaina hai

jisme apna hi chehra anjana sa lagta hai

jisko samjho apna wo begana sa lagta hai

begaana sa lagata hai jindagi waqt ka aaina hail

Explore this song