Roman script

jindagi anmol jindagi ki pehli jarurat hai kya ek pyaar tera

pyaar se bhi tumko pyaara hai kya intjaar tera

duniya ke gamo ka ilaaj hai kya deedaar tera jindagi anmol

jindagi ki pehli jarurat hai kya ek pyaar tera

mujh garib ko kam nasib ko tumne itna pyaar diya

kaise karj utaaru uska tumne jo upkaar kiya

tumne labo ki laali bhar ke rang nikhaar diya hain

pyaar ka badla deke pyaar sansaar sanwaar diya hain

praan do ek huye karj ka kya sawaal jindagi anmol

jindagi ke sapno ki manjil hai kya aitbaar tera

imaan ki kitaabo se badhkar hai kya ikraar tera

masiha se bhi acha hoga na kaun bimaar tera jindagi anmol

jindagi ki pehli jarurat hai kya ek pyaar tera

tum mujhko devo se badhkar bin maange vardaan diye

karj na jinka chuka saku main tune wo ehsaan kiya

main to farishta nahi koyi insaan tumhaare jaisa

sukh dukh ke dono saathi ehsaan kisi par kaisa

jo mera wo tera karj ki baat kya jindagi anmol

jindagi ki sabse badi daulat hai kya uphaar tera

saare hi najaaron se pyara hai kya singhaar tera

duniya mein jine ki surat hai kya aitbaar tera jindagi anmol

Explore this song