Roman script

o o o o taaaaa tanu tana taana

jind le gaya, woh dil ka jaani yeh but bejaan reh gaya

jind le gaya, jind le gaya 

jind le gaya, woh dil ka jaani yeh but bejaan reh gaya 

jind le gaya woh dil ka jaani yeh but bejaan reh gaya

jind le gaya

mehmaan chala gaya ghar se yeh khaali makaan reh gaya

jind le gaya, woh dil ka jaani

yeh but bejaan reh gaya, jind le gaya

khaabon si takdire khaabon si takdire kab banati hai

paani pe tasbire paani pe tasbire kab banati hai

na rang raha koyi baaki, na koyi nishaan reh gaya

jind le gaya ,jind le gaya woh dil ka jaani

yeh but bejaan reh gaya, jind le gaya

uss aandhi ka uss tufaan ka jor kisi ko yaad nahi hai

aayi thi ik roj kayaamat, aur kisi ko yaad nahi hai

bas ek mera dil tuta, yeh saara jahaan reh gaya

jind le gaya ,jind le gaya woh dil ka jaani

yeh but bejaan reh gaya, jind le gaya

apane jakhmo apane sadamo se main kitani sharminda hoon

kya kaaran hai kya hai sabab jo aaj bhi abb bhi main jinda hoon

lagata hai ke mera baaki koyi imtehaan reh gaya

jind le gaya , jind le gaya woh dil ka jaani

yeh but bejaan reh gaya, jind le gaya

mehmaan chala gaya ghar se, yeh khaali makaan reh gaya

jind le gaya, woh dil ka jaani

yeh but bejaan reh gaya, jind le gaya, jind le gaya, jind le gaya

Explore this song