Roman script

jhuthi sachi aas pe jina

kab tak aakhir, aakhir kab tak

jhuthi sachi aas pe jina kab tak 

aakhir aakhir, kab tak

mai ki jagah khun e dil pina 

kab tak aakhir, aakhir kab tak 

jhuthi sachi aas pe jina 

kab tak aakhir, aakhir kab tak

sacha hai ab paar utrenge 

ya takra kar doob marenge

sacha hai ab paar utrenge 

ya takra kar doob marenge

tufaano ki zad pe safina 

kab tak aakhir, aakhir kab tak

jhuthi sachi aas pe jina 

kab tak aakhir, aakhir kab tak

ek mahine ke waade par 

saal guzara phir bhi na aaye

ek mahine ke waade par 

saal guzara phir bhi na aaye

waade ka yeh ek mahina 

kab tak aakhir, aakhir kab tak 

jhuthi sachi aas pe jina 

kab tak aakhir, aakhir kab tak

samne duniya bhar ke gam hain 

aur idhar ek tanha hum hain

samne duniya bhar ke gam hain 

aur idhar ek tanha hum hain

sainkdo patthar ek aaina 

kab tak aakhir, aakhir kab tak

jhuthi sachi aas pe jina 

kab tak aakhir, aakhir kab tak

mai ki jagah khun e dil pina 

kab tak aakhir, aakhir kab tak 

jhuthi sachi aas pe jina 

kab tak aakhir, aakhir kab tak

Explore this song