Roman script

jhumta mausam mast mahina, chand si gori ek hasina

aankh me kajal muh pe pasina

ya allah, ya allah, dil le gayi

ya allah, ya allah, dil le gayi

koi rangila sapno me aake, ek najar se apna bana ke

pyar ka jadu hampe chala ke

ya allah, ya allah, dil le gaya

ya allah, ya allah, dil le gaya

thandi sadak nim tale tir-e-najar khub chale

o tum bhi udhar jakhmi huye, ham bhi idhar jakhmi huye

haye lal chunariya chal nirali, sar pe jhumar kan me bali

hath me chudiya motiyo vali

ya allah, ya allah, dil le gayi

ya allah, ya allah, dil le gayi

koi rangila sapno me aake, ek najar se apna bana ke

pyar ka jadu hampe chala ke

ya allah, ya allah, dil le gaya

ya allah, ya allah, dil le gaya

tum bhi yaha ham bhi yaha aisa milan hoga kaha

o teri kasam jan-e-jaha, dil hai vahi tu hai jaha

o dil ka malik ik matvala, is jahan me sabse nirala

pyar ka suraj dil ka ujala

ya allah, ya allah, dil le gaya

ya allah, ya allah, dil le gaya

jhumta mausam mast mahina, chand si gori ek hasina

aankh me kajal muh pe pasina

ya allah, ya allah, dil le gayi

ya allah, ya allah, dil le gayi

dono taraf aag lagi, aisi lagi bujh na saki

o tum bhi jale ham bhi jale, khil to gayi dil ki kali

mukhda tera gul ki kahani, julfe teri shyam suhani

rup ki mallika pyar ki rani

ya allah, ya allah, dil le gayi

ya allah, ya allah, dil le gayi

koi rangila sapno me aake, ek najar se apna bana ke

pyar ka jadu hampe chala ke

ya allah, ya allah, dil le gaya

ya allah, ya allah, dil le gaya

jhumta mausam mast mahina, chand si gori ek hasina

aankh me kajal muh pe pasina

ya allah, ya allah, dil le gayi

ya allah, ya allah, dil le gayi

ya allah, ya allah, dil le gaya

ya allah, ya allah, dil le gayi

ya allah, ya allah, dil le gaya

ya allah, ya allah, dil le gayi

Explore this song