Roman script

suno re bandhuo, suno re bhaiyo

jhuth bolna paap hai yaaro

jhuth bolna paap hai yaaro

ek din sabko jana hai

jhuth bolna paap hai yaaro

ek din sabko jana hai

is pudiya me kya kya gun hai

kya gun hai

are is pudiya me kya kya gun hai

ye tumko samjhana hai

jhuth bolna paap hai yaaro

ek din sabko jana hai

is pudiya me kya kya gun hai

ye tumko samjhana hai

suno re bandhuo, suno re bhaiyo

hey jamure waah waah

pahla gun khate hi pudiya

are bichhde dil mil jate hai

mil jate hai, mil jate hai

aur karishma duja dekho, dekho

rustam bhi hil jate hai, accha

tiji khubi fauran le lo

are race ke ghode aayenge

ji aayenge, ji aayenge

chauthi baat nikalo paise

phir tumko samjhayenge

kabhi na dekha hoga tumne, wo kya

are wo jadu dikhlayenge

dikhlayenge, dikhlayenge

suno re bandhuo, suno re bhaiyo

jhuth bolna paap hai yaaro

ek din sabko jana hai

are is pudiya me kya kya gun hai

kya gun hai

is pudiya me kya kya gun hai

ye tumko samjhana hai

suno re bandhuo, suno re bhaiyo

is pudiya me kya hai gun 

kaan khol ke raja sun

gun panchwa baandhe leader

are barah ghante bole

re baba barah ghante bole

number chheh par single pasli

sau man loha taule

labh satwa bada anokha

are gidad ko ye sher banaye

are number kya hai, matke ka

are nahi re

telephone, are nahi re aage, aathwa

number aath sipahi chhu le

are apne desh ki laaj bachaye, bachaye

hey nauwa jadu banjh ko de do

nau mahine me maa ban jaye

are bacche janti mel frontier

are daswe gun pe khud ruk jaye

chand ki kirne taaro ka dil

kya bolu kya chiz hai ye

kya chiz hai ye, kya chiz hai ye

sab ke sar pe chadh ke bole

kya bole

are wonderful tabij hai ye

tabij hai ye, tabij hai ye

suno re bandhuo, suno re bhaiyo

jhuth bolna paap hai yaaro

ek din sabko jana hai

jhuth bolna paap hai yaaro

ek din sabko jana hai

are is pudiya me kya kya gun hai

kya gun hai

is pudiya me kya kya gun hai

ye tumko samjhana hai

suno re bandhuo, suno re bhaiyo

Explore this song