Roman script

jhilmil jhilmil aas kiran gagan mein ek nanha taara

jhum uthe parbat nadiya magan dekhke jag saara

jeena jeena naya savera aane ko hai laal mera

chaaro taraf gulaab khile khushbu khushbu huyi faza

gun gun gun gun gaati phire gulshan gulshan baade saba

ek naye yug ki sargam ek naye yug ki kavita

saari kaaynaat ko intzaar hai ek bachche ka

wo kaala hoga ya gora to kya

wo aayega to aansu ko muskaan mein badal dega

nafrat ko pyaar ka aanchal dega

jung ko aman ki god mein sula dega

rang aur nasl ka bhed mitaakar saare dukho ko bhula dega

hogi puri muraad mann ki hum dono ke jivan ki

khul jaayengi raahein saari aapas ki apnepan ki          

jhilmil jhilmil aas kiran gagan mein ek nanha taara

jeena jeena naya savera aane ko hai laal mera

Explore this song