Roman script

jaane kya dhundhati rahti hai ye aankhe mujhme

raakh ke dher me shola hai na chigaari hai

ab na vo pyaar na uski yaade baaki

aag yu dil me lagi kuchh na raha kuchh na bacha

jiski tasvir nigaaho me liye baithi ho

mai vo dildaar nahi uski hu khaamosh chita

jaane kya dhundhati rahti hai ye aankhe mujhme

raakh ke dher me shola hai na chigaari hai

zindagi hans ke na guzarti to bahut achchha tha

khair hans ke na sahi ro ke guzar jaayegi

raakh barbaad muhabbat ki bacha rakhi hai

baar-baar isko jo chheda to bikhar jaayegi

jaane kya dhundhati rahti hai ye aankhe mujhme

raakh ke dher me shola hai na chigaari hai

aarazu jurm vafa jurm tamanna hai gunaah

ye vo duniya hai jaha pyaar nahi ho sakta

kaise baazaar ka dastur tumhe samajhaau

bik gaya jo vo kharidaar nahi ho sakta

bik gaya jo vo kharidaar nahi ho sakta

Explore this song