Roman script

jaane kahan leke jaaye zindagi

kaise khwaab dikhaaye zindagi

ban ke tera humsafar, main chala jaane kidher

zindagi o zindagi

kya kya rang dikhaaye zindagi

haan jaane kahan leke jaaye zindagi

abhi abhi chalte chalte aisa laga hai

abhi abhi tune mujhse kuch to kaha hai

oh mere har kadam par tune khushiyaan bichha di

chaaha tha jo kuch maine sab mil gaya hai 

koi shikwa hi nahin, kuch shikayat bhi nahin 

zindagi o zindagi

itne phool khilaaye zindagi

haan haan jaane kahan leke jaaye zindagi

dil mera laaya mujhko dil ke sheher mein haan

taare bichhe hain kaise har reh guzar mein

oh khushiyaan huwi hain mujhko itni merharba

rehta hu jaise ab to khushiyo ke ghar mein

is sheher ko hai salaam, reh guzar ko hai salaam

zindagi o zindagi 

dil ke saans sunaaye zindagi

jaane kahan leke jaaye zindagi

ban ke tera humsafar 

main chala jaane kidher

zindagi o zindagi

Explore this song