Roman script

unch nich ka pahiya karta nirdosho ko chur

o samaj ke thekedaro ye kaisa dastur

chita ki lakdi tan ka dhacha

dono jal kar rakh hue

mukt hue wo pran ke jin par

jurm tumhare lakh hue

janam diya jis maa ne usne bhi upkar kiya

usse badi maa wo hai jisne maa ka pyar diya

is dunia me sabko pyari apni hi santan hai

begano ko apna mane uska pyar mahan hai

janam diya jis maa ne usne bhi upkar kiya

usse badi maa wo hai jisne maa ka pyar diya

kichad me ho ya kyari me kichad me ho ya kyari me

phul to aakhir phul hai kisi phul ko nich samjhna

ye mali ki bhul hai janam diya jis maa ne

usne bhi upkar kiya usse badi maa wo hai

jisne maa ka pyar diya

jo na bigad kar ban sakti ho aisi koi bat nahi

ek bhi dil me jab tak mamta balak koi anath nahi

balak koi anath nahi janam diya jis maa ne

usne bhi upkar kiya usse badi maa wo hai

jisne maa ka pyar diya

Explore this song