Roman script

koi kisi ko kyo achha lagta hai

koi kisi ko dekh kar kyo apne hosh kho deta hai

kisi ki hairan aankhe ek hasin chehre ko dekhti hai

aur dil mein anginat masum sawal karwate badalne lagte hai

jamin ka phul ho ya hur aasman ki ho

jamin ka phul ho ya hur aasman ki ho 

jamin ka phul ho ya hur aasman ki ho

main sochata hu ke tum kaun ho kaha ki ho

jamin ka phul ho ya hur aasman ki ho

ye jism git hai khushbu hai ya hai dip jala

ye julf rat hai badal hai ya hai koi bala

ye aankhe jadu hai jhile hai ya ke paimana

ye chehra khwab hai sach hai ya koi afasana

wo desh kitna hasin hoga tum jaha ki ho

main sochata hu ke tum kaun ho kaha ki ho

jamin ka phul ho

tumhare liye main shishe khankte hai jaise

tumhare chhune se paththar pighalte hai jaise

kiran si phutti hai tum jo muskurati ho

najare gate hai tum jo najar uthati ho

yaha ki ho ya kisi aur kehkasha ki ho

main sochata hu ke tum kaun ho kaha ki ho

jamin ka phul ho ya hur aasman ki ho

main sochata hu ke tum kaun ho kaha ki ho

jamin ka phul ho ya hur aasman ki ho

Explore this song