Roman script

jalakar aag dil me 

zindagi barbaad karte hain

na hansate hain na rote hain 

na kuch fariyaad karte hain

jalakar aag dil me

ummide hasrat o armaan 

sab apna liye dil me

liye barbaadiya ab ranj o gam 

aabaad karte hai

na hansate hain na rote hain 

na kuch fariyaad karte hain

jalakar aag dil me

rahe majburiya apni 

rahe barbaadiya apni

hum apne aashiya ko 

aap hi barbaad karte hain

na hansate hain na rote hain 

na kuch fariyaad karte hain

jalakar aag dil me

nahi apni koi manzil 

kaha jaye kidhar jaye

sahara maut ka hai 

maut ko apna karte hain

na hansate hain na rote hain 

na kuch fariyaad karte hain

jalakar aag dil me

duniya se shikayat kaun kare 

duniya se shikayat kaun kare 

armaan bhara dil tut gaya 

ye kaun aaya chupke chupke 

khusiyon ke chaman ko loot gaya 

duniya se shikayat kaun kare 

ye kaisi bahaare hain dil me 

ye kaisi bahaare hain dil me 

aasha ke kamal murjhane lage 

aasha ke kamal murjhane lage 

wo daman bhi kya daaman hai 

wo daman bhi kya daaman hai 

jo haath me aakar chhut gaya 

duniya se shikayat kaun kare 

jalti hai chita jo dil me tere 

aaho se laga ashqo se bujha 

aaho se laga ashqo se bujha 

jal jal ke mkohbbat kahti hai 

jal jal ke mkohbbat kahti hai 

dil toot gaya, dil toot gaya 

dil toot gaya, hay toot gaya

Explore this song