Roman script

aasma ki khair mana mitane wale

o mitane wale

ab apni maut par rona

tere jahan ko pada diljalo se kaam nahi

tere jahan ko pada diljalo se kaam nahi

jala ke khak na kar du to ishq naam nahi

tere jahan ko

kaisa ye kanun jo dil ke khun se likha jaye

jalim hai dastur teri duniya ka haye haye

kaisa ye kanun jo dil ke khun se likha jaye

nikli hu main aaj sulagti chingari banke

kah de koi aaj na mujhse daman ko uljhaye

wo aag hu main ke jiska koi paiyam nahi

jala ke khak na kar du to ishq naam nahi

tere jahan ko

ulfat ka makam teri duniya me thokar khaye

jalta hai ghum se dile diwana haye haye

ulfat ka makam teri duniya me thokar khaye

chamke dil ke daag bhadakti hai daago ki aag

teri duniya aaj mere saye se bachke jaye

tu ghum ka shola main koi chiraage sham nahi

jala ke khak na kar du to ishq naam nahi

tere jahan ko pada diljalo se kaam nahi

jala ke khak na kar du to ishq naam nahi

tere jahan ko

khudaya

jalta hai gham se ye dile nakam haye haye

jalta hai gham se ye dile nakam haye haye

kuch kaam aa saka na tera naam haye haye

kuch kaam aa saka na tera naam haye haye

dushman meri taqdeer huyi sun le khudaya

ranjhe se juda heer huyi o sun le khudaya

jara sun le khudaya

insaaf tera ho gaya badnaam haye haye

kuch kaam aa saka na tera naam haye haye

kuch kaam aa saka na tera naam haye haye

khudaya o khudaya

duniya teri jalim hai tu duniya ko jala de

jis aag me jalti hu wahi aag laga de

aag laga de

kudrat pe teri aa gaya ilhehaye

kuch kaam aa saka na tera naam haye haye

kuch kaam aa saka na tera naam haye haye

aag laga de

aag laga de

aag laga de

aag laga de

Explore this song