Roman script

jal jal ke shama ki tarah fariyad na karna

main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna

mushkil hai bahut pyar ki duniya ko basana

bedard zamane ka tarika hai purana

do pyar bhare dil kabhi aabad na karna

main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna

jal jal ke shama ki tarah fariyad na karna

main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna

aakash ki choti pe mahal humne banaya

duniya se bahut dur jahan apna basaya

kismat ne magar chaha hume shaad na karna

main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna

jal jal ke shama ki tarah fariyad na karna

main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna

ab apne khayalo me mujhe tum na basana

bhule se kabhi tum mere sapno me na aana

agar dil me uthe dard toh fariyad na karna

main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna

jal jal ke shama ki tarah fariyad na karna

main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna

Explore this song