Roman script

jai jaikar mata ki aao sharasn bhawani ki

ek bar fir prem se bolo jai durga maharani ki

jai durga maharani ki

pahli devi shailputri hai kiye bail ki swari

ardhchandar mathe par sohe 

sundar rup manohari, sundar rup manohari

liye kamandal phul kamal ke or rudrakhsho ki mala

hui dusri brahamcharini 

kare jagat me ujiyala, kare jagat me ujiyala

puran chandarma si nirmal hai, devi chandarghanta mata

inke sumiran se nirbal bhi 

bairi par hai jai pata, bairi par hai jai pata

jai jaikar mata ki aao sharasn bhawani ki

ek bar fir prem se bolo jai durga maharani ki

jai durga maharani ki

chothi devi kushmanda hai inki lila hai nyari

amrit bhara kalash hai kar me 

kiye bagh ki yeh sawari, kiye bagh ki yeh sawari

kar me kamal singh par aasan

sab ka subh karne wali

mangalmai kandmata hai 

jag ka dukh harne wali, jag ka dukh harne wali

muni katyayan ki ye kanya, hai sabki katyani ma

danvta ki shatru or

manwata ki sukhdayini maa, manwata ki sukhdayini maa

jai jaikar mata ki aao sharasn bhawani ki

ek bar fir prem se bolo jai durga maharani ki

jai durga maharani ki

yahi kal ratri devi hai mahaparlay dhane wali

sab prani ke khane wale

kal ko bhi khane wali, kal ko bhi khane wali

swet bail hai wahan jinka , tan par swetambar bhata

yahi maha gori devi hai 

sabki jagdamba mata, sabki jagdamba mata

sankh chakkar or gada padam, kar me dharan karne wali

yahi sidhi datri mata hai 

ridhi sidhi dene wali, ridhi sidhi dene wali

jai jaikar mata ki aao sharasn bhawani ki

ek bar fir prem se bolo jai durga maharani ki

jai durga maharani ki

Explore this song