Roman script

mujhe jindagi se mohabbat bahut thi

sikayat ko majbur hu ab

gamo ki ye lapte uthi is tarah se

ke dil me jala ja raha sab

mai tinke ke jaise udda ja raha hu

chali wakt ki andhiya

jaha dekhta hu najar aa rahi hai

mujhe sirf barbadiya

barbadiya barbadiya barbadiya

samunder me dooba hua saksh hu mai

kinare bahut door hai

mai wo saksh tha chand ki sochata tha

sitare bahut door hai

mai kato pe chal to raha hu magar

meri adat me shamil nahi ye 

jo manjil najar aa rahi aaj mujhko

ha sach pucho manjil nahi ye

mai tinke ke jaise udda ja raha hu

chali wakt ki andhiya

jaha dekhta hu najar aa rahi hai

mujhe sirf barbadiya

barbadiya barbadiya barbadiya

mai is bebasi pe hasu ya main rou

ye aasan nahi faisala

mai unchayiyo se gira or girunga

shuru ho chuka silsila

kismat ki bato pe kudarat ke kisso pe

ab to yakin aa rahaa

han jo wakt hai meri kismat me likha

wahi wakt le ja raha

mai tinke ke jaise udda ja raha hu

chali wakt ki andhiya

jaha dekhta hu najar aa rahi hai

mujhe sirf barbadiya

barbadiya barbadiya barbadiya

Explore this song