Roman script

jab jab apna mel huwa toh dil yahi pukara

janam janam tak tut sake na kabhi sath hamara

tere gam ko gale laga ke ho apni khushiya mai tujape luta du

gar thoda sa too muskara de ho toh virane me kaliya khila du

ho sharmata hai kaliyo ko bhi yeh bairi rup tumhara

jab jab apna mel huwa toh dil yahi pukara

chhed ke apne pyar ka nagma ho tere dil me tarane jaga du

teri aankh ke aansu le ke ho naye chand-sitare bana du

ho nil gagan par dip jale hain jara dekho najara

jab jab apna mel huwa toh dil yahi pukara

lakh janam ke armano ka ho koi rangin fasana bana du

lekar aag tere galo ki ho gore gore kanval mai khila du

ho dil kahata hai aaj milega nadiya se kinara

jab jab apna mel huwa toh dil yahi pukara

jab jab apna mel huwa toh dil yahi pukara

janam janam tak tut sake na kabhi sath hamara

jab-jab apna mel huwa toh dil yahi pukara

Explore this song